Sözler
Kart yapmak için en fazla altı dize seç.
Taqdeer se kya gila Khuda ki marzi,
Jo kuchh bhi hua, hua Khuda ki marzi,
Amjad, har baat mein kahaantak kyon, kyon?
Har kyon ki intahaa, Khuda ki marzi
Duniya bhi ajab serai faani dekhi,
Har cheez yahan ki aani jaani dekhi,
Joo aake na jaae woh burhaapa dekha,
Jo jaa ke na aae woh javaani dekhi,
Har shai mein jamaal-e-dilruba ko dekha
Har cheez men shaan-e kibriya ko dekha
Makhluq mein khaliq ka nazr aaya jisko
Us dekhne wale ne khuda ko dekha.
Paylaşmak için dizeleri seç. En fazla 6 dize seçebilirsin. Ok tuşlarıyla dizeler arasında gezin, Boşluk ile seç, Shift ve ok tuşlarıyla aralık seç, Esc ile temizle.
